agar phir shahr mein wo KHush-ada wapas palaT aae
mulaqaton ka shayad silsila wapas palaT aae
main us ko bhul jaun raat ye mangi dua main ne
karun kya main agar meri dua wapas palaT aae
guzarta hi nahin mausam judai ke dayaron ka
milan-rut ke kinaron se hawa wapas palaT aae
wo ab un raston par hai jahan bas phul khilte hain
bulawe ki mere har ek sada wapas palaT aae
nae raste mubarak us ko lekin kuchh qadam baDh kar
bichhaDne ka mujhe de hausla wapas palaT aae
Ghazal
Agar phir shahr mein wo KHush-ada wapas palaT aae
Marghoob Ali