agar mohabbat ke muddai ho to ye rawayya rawa nahin hai
jo shikwa hai ru-ba-ru nahin hai jo baat hai barmala nahin hai
ye roz-e-tajdid-e-ahd-e-ulfat ye rose paiman-e-dil-nawazi
hazar taslim kar raha hun magar yaqin-e-wafa nahin hai
hai tere kafir-shabab se KHub meri masum mai-gusari
surur ki ek had hai qaem ghurur ki intiha nahin hai
ajab nahin zahmat-e-wafa se mujhe kisi din najat de de
yahi meri be-zaban mohabbat jo dar-KHur-e-e'tina nahin hai
na jaane kis kis se dil laga kar wafa se mayus ho chuka hun
nazar pareshan-e-shash-jihat hai koi bhi dard-ashna nahin hai
jata ke majburi-e-mohabbat umid-e-mehr-o-wafa ke mani
main KHud hun apna sukun-e-dushman kisi ki koi KHata nahin hai
baja baja be-shumar aariz nazar nazar ko taras rahe hain
magar ye dil ka moamla hai nigah ka wasta nahin hai

Ghazal
Agar mohabbat ke muddai ho to ye rawayya rawa nahin hai
Ehsan Danish