اردو हिंदी
Agar main unki nigahon se gir gaya hota | Shaahi Shayari
agar main unki nigahon se gir gaya hota

Ghazal

Agar main unki nigahon se gir gaya hota

Danish Aligarhi

;

agar main un ki nigahon se gir gaya hota
to aaj apni nazar se utar gaya hota

tere firaq ne ki zindagi ata mujh ko
tera visal jo milta to mar gaya hota

jo tum ne pyar se aawaz mujh ko di hoti
rah-e-hayat se hans kar guzar gaya hota

jo jhuT-muT hi tum mujh ko apna kah dete
to mere pyar ka har qarz utar gaya hota

jo ek nigah-e-karam un ki paDti ai 'danish'
to mera bigDa muqaddar sanwar gaya hota