اردو हिंदी
Agar main moajaze ko KHaksari ke ayan karta | Shaahi Shayari
agar main moajaze ko KHaksari ke ayan karta

Ghazal

Agar main moajaze ko KHaksari ke ayan karta

Wali Uzlat

;

agar main moajaze ko KHaksari ke ayan karta
bagule sa bana aur hi zamin o aasman karta

mujhe haq gulshan-e-ijad ka gar baghban karta
to ashk-e-bulbulon ko aabyar-e-gulistan karta

gila dil-e-saKHti-e-ahbab ka gar main bayan karta
sadaf sa pal mein aansu uqda-e-dil ke rawan karta

jo diwan-e-qaza ki peshkari haq mujhe deta
to reshe sarw ke mizhgan-e-chashm-e-qumriyan karta

KHuda gar KHana saman-e-qaza karta ye 'uzlat' ko
to parwanon ki rakh ai shama subh-e-asman karta