agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka
to jite ji na leta nam hargiz aashnai ka
jo aashiq saf hain dil se unhin ko qatl karte hain
baDa charcha hai mashuqon mein aashiq-azmai ka
karun ek pal mein barham kar-KHane ko mohabbat ke
agar aalam mein shohra dun tumhaari bewafai ka
jafa ya mehr jo chahe so kar le apne bandon par
mujhe KHatra nahin hargiz burai ya bhalai ka
na pahuncha aah-o-nala gosh tak us ke kabhu apna
bayan hum kya karen tale ki apne na-rasai ka
KHudaya kis ke hum bande kahawen saKHt mushkil hai
rakhe hai har sanam is dahr mein dawa KHudai ka
KHuda ki bandagi ka 'soz' hai dawa to KHilqat ko
wale dekha jise banda hai apni KHud-numai ka
Ghazal
Agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka
Meer Soz