agar kuchh hosh hum rakhte to mastane hue hote
pahunchte ja lab-e-saqi kun paimane hue hote
abas in shahriyon mein waqt apna hum kiye zae
kisi majnun ki sohbat baiTh diwane hue hote
na rakhta main yahan gar ulfat-e-laila nigahon kun
to majnun ki tarah aalam mein afsane hue hote
agar hum aashna hote teri begana-KHui sin
bara-e-maslahat zahir mein begane hue hote
zi-bas kafir-adayon ne chalae sang-e-be-rahmi
agar sab jama karta main to but-KHane hue hote
na karta zabt agar main girya-e-be-iKHtiyari kun
guzarta jis taraf ye pur virane hue hote
nazar chashm-e-KHaridari sin karta dilbar-e-nadan
agar qatre mere aansu ke durdane hue hote
mohabbat ke nashe mein KHas insan waste warna
farishte ye sharaben pi ki mastane hue hote
ewaz apne gareban ke kisi ki zulf hat aati
hamare hat ke panje magar shane hue hote
teri shamshir-e-abru sin hue sanmukh wa illa na
ajal ki tegh sin jyun aara dandane hue hote
maza jo aashiqi mein hai so mashuqi mein hargiz nin
'siraj' ab ho chuke afsos parwane hue hote
Ghazal
Agar kuchh hosh hum rakhte to mastane hue hote
Siraj Aurangabadi