agar kuchh e'tibar-e-jism-o-jaan ho
abhi kuchh aur mera imtihan ho
mujhe darpesh hai bas ek manzil
ki tujh se baat ho lekin kahan ho
jise mauj-e-bala chume musalsal
meri kashti ka aisa baadban ho
kahan tak surat-e-imkan nikalun
agar har bar mehnat raegan ho
mere KHwabon ki wo be-nam jannat
zamin-o-asman ke darmiyan ho
mere ehsas ke aatish-fishan ka
agar ho to mere dil tak dhuan ho
agar 'aghaz' hai chup-chap sahil
samundar ki tarah tum be-karan ho
Ghazal
Agar kuchh etibar-e-jism-o-jaan ho
Aghaz Barni