agar kuchh bhi mere ghar se dam-e-ruKHsat nikalta hai
uTha le jae jis ka jo meri babat nikalta hai
ye virani si yunhi to nahin rahti hai aankhon mein
mere dil hi se koi jada-e-wahshat nikalta hai
ajab hairat-sara hai ye jahan-e-tang-daman bhi
yahan to dil bhi dhaDkan se dam-e-hasrat nikalta hai
KHush-arzani hui hai is qadar bazar-e-hasti mein
giran jis ko samajhta hun wo kam-qimat nikalta hai
ek aisi basti-e-surat-garan mein ab ke aaya hun
mujhe jo dekhta hai mera ham-surat nikalta hai
Ghazal
Agar kuchh bhi mere ghar se dam-e-ruKHsat nikalta hai
Tariq Naeem