agar koi KHalish-e-jawedan salamat hai
to phir jahan mein ye tarz-e-fughan salamat hai
abhi to bichhDe hue log yaad aaenge
abhi to dard-e-dil-e-raegan salamat hai
agarche is ke na hone se kuchh nahin hota
hamare sar pe magar aasman salamat hai
sabhi ko shauq-e-shahadat to ho gaya hai magar
kisi ke dosh pe sar hi kahan salamat hai
hamare sine ke ye zaKHm bhar gae hain to kya
udu ke tir udu ki kaman salamat hai
jahan mein ranj-e-safar hum bhi khinchte hain magar
jo gum hua hai wahi karwan salamat hai
Ghazal
Agar koi KHalish-e-jawedan salamat hai
Mahtab Haider Naqvi