agar kisi ne badan ka sukun paya hai
wo shaKHs ruh ki tarikiyon mein uljha hai
KHayal hai koi meri talash mein hi na ho
tilsim-e-shab kisi aawaz-e-pa se TuTa hai
ye kis ki chap dar-e-dil pe rose sunta hun
ye kis ka dhyan mujhe raat-bhar satata hai
kuchh is tarah se muqayyad hun apni hasti mein
ki jaise main hun faqat main hun aur duniya hai
tumhaare gham mein koi aankh nam nahin hogi
hawa ke karb ka ehsas kis ko hota hai
ye kaun zehn mein chupke se roz aa ke 'niyaz'
sukun-e-qalb-o-nazar paemal karta hai
Ghazal
Agar kisi ne badan ka sukun paya hai
Niyaz Husain Lakhwera