اردو हिंदी
Agar KHuda na kare sach ye KHwab ho jae | Shaahi Shayari
agar KHuda na kare sach ye KHwab ho jae

Ghazal

Agar KHuda na kare sach ye KHwab ho jae

Dushyant Kumar

;

agar KHuda na kare sach ye KHwab ho jae
teri sahar ho mera aaftab ho jae

huzur aariz-o-ruKHsar kya tamam badan
meri suno to mujassam gulab ho jae

uTha ke phenk do khiDki se saghar-o-mina
ye tishnagi jo tumhein dastiyab ho jae

wo baat kitni bhali hai jo aap karte hain
suno to sine ki dhaDkan rabab ho jae

bahut qarib na aao yaqin nahin hoga
ye aarzu bhi agar kaamyab ho jae

ghalat kahun to meri aaqibat bigaDti hai
jo sach kahun to KHudi be-naqab ho jae