agar kahne se pahle ho raha hai
na puchho kis tarah se ho raha hai
mohabbat waqt se pahle to kar li
ghaDi ka shauq kaise ho raha hai
hamare dil mein kuchh us ki wajh se
wo mane ya na mane ho raha hai
tamasha dekhne aai ho mera
ki kaise chand TukDe ho raha hai
teri photo bana kar kya bataun
ki kya kuchh camere pe ho raha hai
mohabbat sabr donon kar raha hun
zara socho ye kaise ho raha hai
wo jab bhi ishq ka kahti hai mujh se
mein kah deta hun ok ho raha hai
mein KHwabon ko banata hun haqiqat
ye aankhon ke zariye ho raha hai
ye aashiq falsafi tha is se pahle
ye jaez hai jo is pe ho raha hai
Ghazal
Agar kahne se pahle ho raha hai
Muzdam Khan