agar kabhi tere aazar se nikalta hun
to apne daera-e-kar se nikalta hun
hawa-e-taza hun rukna nahin kahin bhi mujhe
gharon mein ghusta hun ashjar se nikalta hun
kabhi hai us ke mazafat mein numud meri
kabhi main apne hi aasar se nikalta hun
main ghar mein jab nahin hota to ghas ki surat
daricha o dar-o-diwar se nikalta hun
isi kinara-e-dariya-e-zat par har-dam
ghurub hota hun us par se nikalta hun
widaa karti hai rozana zindagi mujh ko
main roz maut ke manjdhaar se nikalta hun
ruka hua koi sailab hun tabiat ka
hamesha tundi-e-raftar se nikalta hun
ise bhi kuchh meri himmat hi jaaniye jo kabhi
KHayal-o-KHwab ke ambar se nikalta hun
libas bechta hun ja ke pahle apna 'zafar'
to kuchh KHarid ke bazar se nikalta hun
Ghazal
Agar kabhi tere aazar se nikalta hun
Zafar Iqbal