اردو हिंदी
Agar hon goya to phir be-takan bolte hain | Shaahi Shayari
agar hon goya to phir be-takan bolte hain

Ghazal

Agar hon goya to phir be-takan bolte hain

Ahmad Husain Mujahid

;

agar hon goya to phir be-takan bolte hain
magar ye log lahu ki zaban bolte hain

zamin jo panw ke niche hai us ka malik hun
pe mere nam pe kitne lagan bolte hain

chhupa na qatl mera ehtiyat ke ba-wasf
jo us ne chhoDe nahin wo nishan bolte hain

zamin pe jab koi mazlum aah bharta hai
sitare TuTte hain aasman bolte hain

chhupae chhupte nahin hadse jo guzre hon
makin chup hon to 'ahmad' makan bolte hain