agar ho KHauf-zada taqat-e-bayan kaisi
nawa-e-haq na sunae to phir ziyan kaisi
uThao harf-e-sadaqat lahu ko garm karo
jo tir phenk nahin sakti wo kaman kaisi
unhen ye fikr ki meri sada ko qaid karen
mujhe ye ranj ki itni KHamoshiyan kaisi
hawa ke ruKH pe liye baiTha hun charagh apna
mere KHuda ne mujhe baKHsh di aman kaisi
hawa chale to use kaun rok sakta hai
uTha rakhi hai ye diwar darmiyan kaisi
agar ye mausam-e-gul hai to zard-ru kyun hai
dil-o-nazar pe ye kaifiyyat-e-KHizan kaisi
na tar tar qaba hai na dagh dagh badan
mujahidon ke saron se gai azan kaisi
Ghazal
Agar ho KHauf-zada taqat-e-bayan kaisi
Abdur Rahim Nashtar