اردو हिंदी
Agar ho chashm-e-haqiqat to dekh kya hun main | Shaahi Shayari
agar ho chashm-e-haqiqat to dekh kya hun main

Ghazal

Agar ho chashm-e-haqiqat to dekh kya hun main

Gawwas Qureshi

;

agar ho chashm-e-haqiqat to dekh kya hun main
fana ke rang mein ek jauhar-e-baqa hun main

tilism-e-band se mushkil rihai hai dil ki
hisar-e-chashm-e-fusun-saz mein ghira hun main

miTa miTa ke mujhe ek din miTa dega
zamana-saz teri chaal jaanta hun main

kamal-e-ishq tasawwur hai auj par aisa
tere jamal ko har shai mein dekhta hun main

meri talash mein gum hain musafiran-e-adam
hudud-e-wahm se aage nikal gaya hun main

talash jis ki hai har ek ko main wo manzil hun
jo tai na kar sake koi wo marhala hun main

talash jis ki mujhe kho chuki hai ai 'ghawwas'
usi ko bahr-e-tahayyur mein DhunDhta hun main