agar har chiz mein us ne asar rakkha hua hai
to phir ab tak mujhe kyun be-hunar rakkha hua hai
talluq zindagi se muKHtasar rakkha hua hai
ki shanon par nahin neze pe sar rakha hua hai
zamane se abhi tak puchhte hain us ki baaten
use hum ne abhi tak be-KHabar rakkha hua hai
ab aisi be-samar saat mein us ki yaad kaisi
ye dukh achchhe dinon ki aas par rakkha hua hai
nikalna chahta hai wusat-e-sahra mein wahshi
baDe jatanon se dil ko bandh kar rakkha hua hai
sada deta hai roz-o-shab koi aisa jazira
jahan mere bhi hisse ka samar rakkha hua hai
na jaane kaun si manzil pe bujh jaen meri aankhen
so main ne ek ek ham-safar rakkha hua hai
Ghazal
Agar har chiz mein usne asar rakkha hua hai
Akram Mahmud