agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha
to phir tujhe zara pahle batana chahiye tha
chalo hami sahi sari buraiyon ka sabab
magar tujhe bhi zara sa nibhana chahiye tha
agar nasib mein tarikiyan hi likkhi thin
to phir charagh hawa mein jalana chahiye tha
mohabbaton ko chhupate ho buz-dilon ki tarah
ye ishtihaar gali mein lagana chahiye tha
jahan usul KHata mein shumar hote hon
wahan waqar nahin sar bachana chahiye tha
laga ke baiTh gae dil ko rog chahat ka
ye umr wo thi ki khana kamana chahiye tha
Ghazal
Agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha
Shakeel Jamali