agar hai ret ki diwar dhyan TuTega
ye hausla na pas-e-imtihan TuTega
jahan jahan bhi mera nam hai fasane mein
wahan wahan tera zor-e-bayan TuTega
tasawwuraat ke ghar mein KHamosh baiTha hun
tum aaoge to KHayali makan TuTega
kasif dhup se jal jaega hasin badan
meri umid ka jab saeban TuTega
ajib karb mein Dubi hui sada hogi
ghurur jab tera ban kar chaTan TuTega
na ras aaegi jab hum ko mauj-e-sail-e-rawan
hamari kashti pe jab baadban TuTega
mujhe yaqin tere jalwe fareb de denge
meri nigah ka jab bhi guman TuTega
ye zulm-o-jaur ke aiwan phir kahan honge
ye be-sutun agar aasman TuTega
sawad-e-manzil-e-idrak paega 'rahi'
nishan ban ke agar be-nishan TuTega
Ghazal
Agar hai ret ki diwar dhyan TuTega
Imtiyaz Ahmad Rahi