agar hai manzur ye ki howe hamare sine ka dagh ThanDa
to aa lipaTiye gale se ai jaan jhamak se kar jhap charagh ThanDa
hum aur tum jaan ab is qadar to mohabbaton mein hain ek tan man
lagaya tum ne jabin pe sandal hua hamara dimagh ThanDa
labon se lagte hi ho gai thi tamam sardi dil-o-jigar mein
diya tha saqi ne raat hum ko kuchh aise mai ka ayagh ThanDa
daraKHt bhige hain kal ke meinh se chaman chaman mein bhara hai pani
jo sair kije to aaj sahab ajab tarah ka hai bagh ThanDa
wahi hai kaamil 'nazir' is ja wahi hai raushan-dil ai azizo
hawa se duniya ki jis ke dil ka na howe hargiz charagh ThanDa
Ghazal
Agar hai manzur ye ki howe hamare sine ka dagh ThanDa
Nazeer Akbarabadi