agar gul mein pyare teri bu na howe 
wo manzur-e-bulbul kisi ru na howe 
tere bin to firdaus mujh ko jahannam 
qayamat ho mujh par agar tu na howe 
ho us bazm mein shama kab raunaq-afza 
jahan mahfil-afroz mah-ru na howe 
ye aaina le ja ke patthar se phoDun 
pari ka agar darmiyan ru na howe 
mahakti hai zulf-e-siyah us ki har raat 
kahin us mein 'ishq' itr-e-shabbu na howe
        Ghazal
Agar gul mein pyare teri bu na howe
Ishq Aurangabadi

