agar gul ki koi pati jhaDi hai
to sau sau bar bulbul gir paDi hai
nazar kya jae su-e-shisha-o-jam
hamari aankh saqi se laDi hai
ye hai josh-e-bahaar un ke chaman mein
ki har ek shaKH phulon ki chhaDi hai
suni rifat sulaiman ki to bole
hamari ek anguThi gir paDi hai
tumhaari zulf se kam hai shab-e-hijr
magar roz-e-qayamat se baDi hai
ek aane ka hai ek jaane ka hangam
ye qissa zindagi ka do-ghaDi hai
nahin haTti tumhaare chehre se zulf
ye shayad bosa lene par aDi hai
hazaron dagh lakhon hasraten hain
hamare dil ki bhi basti baDi hai
hua kya jild-e-KHak apna tan-e-zar
jahan hum the wahan miTTi paDi hai
mare hain dar pe hum wo puchhte hain
ye kis ki lash raste mein paDi hai
jo dekhi hai nigah-e-mast-e-saqi
to bijli laDkhaDa ke gir paDi hai
jo apna mal hoga KHair hoga
'rashid' ab to hamein dil ki paDi hai
Ghazal
Agar gul ki koi pati jhaDi hai
Rasheed lakhnavi