agar faqir se milna hai to sambhal pahle
amir ban ke na ja pairahan badal pahle
paDegi tujh pe sunahri kiran mohabbat ki
harim-e-zat ke jangal se KHud nikal pahle
salam kahne ko aaegi KHud-baKHud manzil
mohabbaton ke kaThin raston pe chal pahle
jaTaen kanch ke bande to KHub hain lekin
tu KHwahishon pe bhi jogi bhabhut mal pahle
shumar tera bhi hoga kamal walon mein
kisi kamal ke sanche mein tu bhi Dhal pahle
tere payam hi se surKH ho gaya hai badan
ki meinh paDa nahin hai khil uThe kanwal pahle
suKHan-waron ki riyazat pe phir gaya pani
sunai shoKH nigahon ne wo ghazal pahle
hile na honT na aankhon ne lab-kushai ki
jabin-e-husn pe kyun paD gae hain bal pahle
tujhe salam kare uTh ke kis tarah 'hasrat'
tu aaya der se aur aa gai ajal pahle
Ghazal
Agar faqir se milna hai to sambhal pahle
Ajeet Singh Hasrat