agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati
to phir ullu ke paThThe ko nasihat aur ho jati
shab-e-wada main un ki kam-sini se Dar gaya warna
zara si baat par nazil musibat aur ho jati
yahi achchha hua tu ne jo zulfon ko munDa Dala
nahin to tere diwanon ki haalat aur ho jati
agar tum nim-uryan hashr ke maidan mein aa jate
qayamat mein phir ek barpa qayamat aur ho jati
sharab-e-nab ki karta mazammat phir na bhule se
jo mai-KHane mein waiz ki marammat aur ho jati
na un ki kam-sini se main saza pata adalat se
jo un ke aashnaon ki shahadat aur ho jati
laga karti hazaron aashiqon ko be-KHata phansi
hasinon ki agar ghar ki adalat aur ho jati
KHata peshab dushman ka hua ghar un ke piTne se
maza jab tha ki sale ko ijabat aur ho jati
hamein chaaron taraf se gher rakkha hai girani ne
mere allah ye duniya se ghaarat aur ho jati
agar bosa diya hai wasl ka wada bhi kar lije
inayat ki to thoDi si inayat aur ho jati
agar dil ko bachata main na zulfon ke aDange se
to duniya bhar se lambi sham-e-furqat aur ho jati
dua hai 'bum' ki yarab ye cotton-mils ki babat
taraqqi aur hoti zeb-o-zinat aur ho jati
Ghazal
Agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati
Boom Merathi