agar dila gham-e-gesu-e-ya baDh jata
shab-e-firaq mein aur intishaar baDh jata
jo shauq-e-jumbish-e-mizhgan-e-yar baDh jata
tera maza KHalish-e-nok-e-KHar baDh jata
jo meri chashm ke parde sharik ho jate
kamal-e-daman-e-abr-e-bahaar baDh jata
watan mein hum na hue KHak shukr ki ja hai
ghubar-e-KHatir-e-ahl-e-dayar baDh jata
dikhai kyun na mujhe aa ke garmi-e-raftar
bala se aap ki mera buKHar baDh jata
Ghazal
Agar dila gham-e-gesu-e-ya baDh jata
Rasheed lakhnavi