اردو हिंदी
Agar dil ishq ke anwar se mamur ho jae | Shaahi Shayari
agar dil ishq ke anwar se mamur ho jae

Ghazal

Agar dil ishq ke anwar se mamur ho jae

Jauhar Zahiri

;

agar dil ishq ke anwar se mamur ho jae
to phir ye zarra KHud rashk-e-charagh-e-tur ho jae

tum apne jalwa-e-nauKHez par yun naz karte ho
agar mera dil-e-KHuddar bhi maghrur ho jae

faqat is raaz ko ahl-e-mohabbat hi samajhte hain
mayassar aae jitna qurb itna dur ho jae

mujhe ye zid ki un ke ru-e-zeba se naqab uTThe
unhen ye zid ki jalwa aur bhi mastur ho jae

wo mere dil ke gulshan mein agar aa jae ai 'jauhar'
to har ek na-shagufta ghuncha rang-o-nur ho jae