اردو हिंदी
Agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai | Shaahi Shayari
agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai

Ghazal

Agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai

Malika Naseem

;

agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai
main tinka hun magar maujon se hai meri shanasai

sharik-e-rah thi jab tak hamari aabla-pai
na mathe par shikan ubhri na panw mein thakan aai

hawa se subh-e-na-asudgi achchha kiya tu ne
kitab-e-zindagi ke kuchh waraq tu bhi uDa lai

hazaron marhale the fasl-e-gul se chaak-e-daman tak
KHizan guzri to kab guzri bahaar aai to kab aai

'nasim' ek din wo aaega ki mazlumon ke qadmon mein
panahen DhunDhti hogi sitam-ranon ki darai