agar bulandi ka meri wo e'tiraf kare
to phir zaruri hai aa kar yahan tawaf kare
dilon mein KHwahish-e-didar ho to lazim hai
jo aaina bhi mayassar ho us ko saf kare
rahunga main to hamesha qasida-KHwan us ka
zamin falak se bhala kaise iKHtilaf kare
hisar-e-zat se bahar nikalna ho jis ko
ana ki aahani diwar mein shigaf kare
jahan bhi qadr-shanasi mein kuchh kami dekhe
wahan zaruri hai KHud bhi kuchh inkishaf kare
purane waqton ke kuchh log ab bhi kahte hain
baDa wahi hai jo dushman ko bhi muaf kare
wo mera dost bhi munsif bhi hai magar 'aKHtar'
har ek faisla mere hi kyun KHilaf kare
Ghazal
Agar bulandi ka meri wo etiraf kare
Akhtar Shahjahanpuri