agar apni chashm-e-nam par mujhe iKHtiyar hota
to bhala ye raaz-e-ulfat kabhi aashkar hota
hai tunuk-mizaj sayyaad kuchh apna bas nahin hai
main qafas ko le ke uDta agar iKHtiyar hota
ye zara si ek jhalak ne dil o jaan ko yun jalaya
teri barq-e-husn se phir koi kya do-chaar hota
aji tauba is gareban ki bhala bisat kya thi
ye kaho ki hath uljha nahin tar-tar hota
wo na aate fatiha ko zara muD ke dekh lete
to hujum-e-'yas' itna na sar-e-mazar hota
Ghazal
Agar apni chashm-e-nam par mujhe iKHtiyar hota
Yagana Changezi