agar ankhiyon sin ankhiyon ko milaoge to kya hoga
nazar kar lutf ki hum kun jalaoge to kya hoga
tumhaare lab ki surKHi lal ki manind asli hai
agar tum pan ai pyare na khaoge to kya hoga
mohabbat sin kahta hun taur bad-nami ka behtar nahin
agar KHandon ki sohbat mein na jaoge to kya hoga
tumhaare shauq mein hun jaan-ba-lab ek umr guzri hai
agar ek dam kun aa kar mukh dikhaoge to kya hoga
mera dil mil raha hai tum sun pyare baatini milna
agar hum pas zahir mein na aaoge to kya hoga
jagat ke log sare 'abru' kun pyar karte hain
agar tum bhi gale is kun lagaoge to kya hoga
Ghazal
Agar ankhiyon sin ankhiyon ko milaoge to kya hoga
Abroo Shah Mubarak