agar anar mein wo raushni nahin bharta
to KHaksar dam-e-agahi nahin bharta
ye bhuk pyas bahar-haal miT hi jati hai
magar hai chiz to aisi ki ji nahin bharta
tu apne aap mein mana ki ek dariya hai
mera wajud bhi kuza sahi nahin bharta
ye len-den ki apni haden bhi hoti hain
ki peT bharta hai jholi koi nahin bharta
hamara koi bhi nemul-badal nahin hoga
hamari KHali jagah koi bhi nahin bharta
muaf karna ye KHaka kahan ubharta hai
agar ye dast-e-hunar rang hi nahin bharta
kahan ye 'KHair' kahan haar jit ka KHadsha
ki jism o jaan ki bazi se ji nahin bharta

Ghazal
Agar anar mein wo raushni nahin bharta
Rauf Khair