agar alfaz se gham ka izala ho gaya hota
haqiqat to na hoti bas dikhawa ho gaya hota
agar apna samajh kar sirf ek aawaz de jate
yaqin mano ki mera dil tumhaara ho gaya hota
shab-e-furqat mein jitne KHwab bhi milne ke dekhe the
agar tabir milti to ujala ho gaya hota
na karte munqata gar tum marasim ki hasin rahen
to qasid KHat mera dene rawana ho gaya hota
mohabbat ki agar pakizgi par tum yaqin karte
to mil kar tum se pura sab KHasara ho gaya hota
meri aashuftagi par ab zamane ko tajjub kyun
agar ulfat na hoti dil siyana ho gaya hota
dil-e-furqat-zada mein hai jo ek nasur muddat se
mualij gar samajh pata ifaqa ho gaya hota
jo dukh ki fasl boi hai to ab dukh kaTna hoga
mukafat-e-amal samjhe ishaara ho gaya hota
ye hikmat hai 'sabila' zist mein rab ne kami rakkhi
wagarna har bashar KHud mein KHuda sa ho gaya hota
Ghazal
Agar alfaz se gham ka izala ho gaya hota
Sabeela Inam Siddiqui