afsurdagi-e-dard-e-faraqat hai sahar tak
ye sham to ek sham-e-qayamat hai sahar tak
koi to andheron mein ujalon ka sabab ho
mana ki charaghon ki haqiqat hai sahar tak
ab hum pe jo aai to kisi taur na guzri
sunte the shab-e-gham ki tawalat hai sahar tak
phir rakh bhi ho jaen to ho jaen bala se
aankhon ke hawalon ki zarurat hai sahar tak
jis raat khula mujh pe wo mahtab ki surat
wo raat sitaron ki amanat hai sahar tak
suraj pe hukumat hai yahan dida-waron ki
sinon ki sulagne ki ijazat hai sahar tak
gunjega har ek halqa-e-zanjir-e-asiran
KHamoshi-e-zindan ki aziyyat hai sahar tak
ye raqs-e-bala saz-e-junun-KHez pe 'azhar'
ye mahfil-e-hangama-e-wahshat hai sahar tak
Ghazal
Afsurdagi-e-dard-e-faraqat hai sahar tak
Azhar Naqvi