afsurdagi-e-dil se ye rang hai suKHan mein
yani KHizan-rasida kuchh phul hain chaman mein
ghurbat mein bhi rahe hum yaron ki anjuman mein
yaad-e-watan ne rakkha aksar hamein watan mein
kya sans ka bharosa phir aae ya na aae
kab tak jalegi aaKHir ye shama anjuman mein
lakhon mein ek nikli waz-e-junun bhi apni
ab bhi rahe na dab kar hum un se bankpan mein
kya jaane kya wahan se laya KHushi ka muzhda
phula nahin samata qasid jo pairahan mein
jo chahte hain rahat likkhen wo haal-e-ghurbat
hum nang jaante hain KHat bhejna watan mein
shayad kuchh amn panw hathon se aasman ke
KHak us gali ki le kar malna mere kafan mein
go pir-zan hai muKHbir bais to hai ye aaKHir
aaluda dast-e-shirin hai KHun-e-kohkan mein
hum mai-kashon ko pi kar ye infial aaya
rasha paDa hua hai ek ek uzw-e-tan mein
KHana-KHarabi apni yaad aai ji bhar aaya
ujDa hua jo dekha ek aashiyan chaman mein
waiz teri zaban se ghibat buton ki sun kar
masjid se uTh ke pahunche hum dair-e-barahman mein
wo dil mein aur dil hai sau hasraton ka maskan
KHalwat mein anjuman hai KHalwat hai anjuman mein
shaer 'hafiz' tum se kaamil bahut hain lekin
kahte hain dard aisa paida kahan suKHan mein
Ghazal
Afsurdagi-e-dil se ye rang hai suKHan mein
Hafeez Jaunpuri