afsos kya jo hum bhi tumhaare nahin rahe
tum bhi kisi ke ho ke hamare nahin rahe
ab shikwa-e-fareb-e-mohabbat na kijiye
hum bhi kisi ki aankh ke tare nahin rahe
ye husn-e-ittifaq hai phir mil gae hain wo
ye aur baat hai ki hamare nahin rahe
tum bhi talluqat ki had se guzar gae
hum bhi kisi ko jaan se pyare nahin rahe
jab se chale gae wo bahaaron ko luT kar
husn-e-bahaar ke wo nazare nahin rahe
hum jin ke ho gae the zamane ko chhoD kar
qismat to dekhiye wo hamare nahin rahe
sher-o-suKHan ki mahfilon ki raunaqen gain
chhajje nahin rahe wo chaubare nahin rahe
meri murad ka hai safina bhi na-murad
tufan ruk gaya to kinare nahin rahe
wo chashm-e-sharmgin ki fusun-kariyan gain
wo chashm-e-surmagin ke ishaare nahin rahe
shaalon mein ishq ke bhi wo chingariyan nahin
bas aag rah gai hai sharare nahin rahe
jate hue wo sabr-o-sukun sath le gaya
bahte hue sukun ke dhaare nahin rahe
ranai-e-jamal-e-gul-afshan ki KHair ho
ab husn-e-dilruba ke nazare nahin rahe
dil ko tha ibtida-e-mohabbat mein jin pe naz
wo apni zindagi ke sahaare nahin rahe
be-nur kar gaya koi duniya ko 'soz' ki
wo chand chhup gaya wo sitare nahin rahe

Ghazal
Afsos kya jo hum bhi tumhaare nahin rahe
Sardar Soz