afsos bani hi nahin pahchan abhi tak
har ahl-e-nazar mujh se hai anjaan abhi tak
sadiyon ke taghayyur se bani surat-e-insan
insan nahin hai magar insan abhi tak
ilham se ibham se iham se chhuTe
kitne hain KHayalat pareshan abhi tak
kitne hi khule fahm-o-farasat ke dariche
hain qaid-e-jahaalat mein hum insan abhi tak
hain dair-o-haram kuchh ki nahin dair-o-haram kuchh
Thahra nahin mera kahin iman abhi tak
hum ahl-e-tazabzub ka fasana bhi ajab hai
kafir hi bane hain na musalman abhi tak
taskin ki surat koi milti nahin 'azam'
meri nigah-e-shauq hai hairan abhi tak
Ghazal
Afsos bani hi nahin pahchan abhi tak
Dr. Azam