afsana mere dil ka dil-azar se kah do
bulbul ke zara dard ko gulzar se kah do
sauda-e-mohabbat ne kiya hai mujhe majnun
ja silsila-e-gesu-e-dildar se kah do
mujh tishna-e-didar ki hai honTon pe ab jaan
lillah ye chah-e-zaqan-e-yar se kah do
gardan pe meri sar ye bahut bar-e-garan hai
tegh-e-do-dam-e-abru-e-KHamdar se kah do
us chashm se kah do meri ranjuri ki haalat
paigham ye bimar ka bimar se kah do
hun banda-e-ulfat nahin mazhab ki hai KHwahish
ye haal mera subha-o-zunnar se kah do
mansur-sifat dil se nikalta hai anal-haq
ye haal mera jald sar-e-dar se kah do
mizhgan-e-sitamgar ne kiya mujh ko hai bismil
eajaz-e-masiha-e-lab-e-yar se kah do
'asim' hi hua kafir-e-ishq-e-shah-e-KHadim
is ramz ko har sahab-e-asrar se kah do
Ghazal
Afsana mere dil ka dil-azar se kah do
Shah Aasim