afsana-ha-e-dard sunate chale gae
KHud roe dusron ko rulate chale gae
bharte rahe alam mein fusun-e-tarab ka rang
in talKHiyon mein zahr milate chale gae
apne niyaz-e-shauq pe tha zindagi ko naz
hum zindagi ke naz uThate chale gae
har apni dastan ko kaha dastan-e-ghair
yun bhi kisi ka raaz chhupate chale gae
main jitna un ki yaad bhulata chala gaya
wo aur bhi qarib-tar aate chale gae
Ghazal
Afsana-ha-e-dard sunate chale gae
Sufi Tabassum