adu to kya ye falak bhi use sata na saka
KHushi hansa na saki gham jise rula na saka
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
jo gham-nasib KHushi mein bhi muskura na saka
wo puchh baiThe yakayak jo wajh-e-be-tabi
khuja ke rah gaya sar baat kuchh bana na saka
wo dekh len na kahin meri chashm-e-pur-nam ko
gaya to milne ko aankhen magar mila na saka
ye do-dili mein raha ghar na ghaT ka 'anjum'
buton ko kar na saka KHush KHuda ko pa na saka
Ghazal
Adu to kya ye falak bhi use sata na saka
Anjum Manpuri