اردو हिंदी
Adu ko dekh ke jab wo idhar ko dekhte hain | Shaahi Shayari
adu ko dekh ke jab wo idhar ko dekhte hain

Ghazal

Adu ko dekh ke jab wo idhar ko dekhte hain

Bekhud Dehlvi

;

adu ko dekh ke jab wo idhar ko dekhte hain
nazar chara ke hum un ki nazar ko dekhte hain

wo rakh ke hath se aaina tan ke baiTh gae
dahan ko dekh chuke ab kamar ko dekhte hain

kisi ke husn se ye hum ko bad-gumani hai
ki pahle nama se hum nama-bar ko dekhte hain

ye imtihan-e-kashish husn-o-ishq ka hai bana
na hum udhar ko na ab wo idhar ko dekhte hain

kabhi wo aaine mein dekhte hain apni shakl
kabhi wo 'beKHud'-e-ashufta-sar ko dekhte hain