adu ghair ne tujh ko dilbar banaya
koi joD mujh par muqarrar banaya
koi sarw rakhta na tha rast ye hai
tere qad ko main ne sanobar banaya
kiya main ne jallad use apne haq mein
sitam sahte sahte sitamgar banaya
na ginta tha koi hasinon mein o but
tujhe de ke dil main ne dilbar banaya
shakar-lab kaha main ne kaDwe hue tum
abas munh ko mujh se sitamgar banaya
anasir se KHaliq ne KHilqat banai
tujhe nur se hur-paikar banaya
tera aashiq-e-zar roz-e-azal se
banaya mujhe o sitamgar banaya
bhala kya jawab is ka dega tu qatil
agar KHun ka main ne mahzar banaya
meri aql hairan hai bar-e-ilaha
tilismat-e-duniya ko kyun-kar banaya
paDi jaan uDne laga mere isa
rui ka jo tu ne kabutar banaya
hama-waqt mumkin nahin wasl-e-dilbar
hansi-khel kiya jaan-e-muztar banaya
wo hun sahib-e-zarf hargiz na chhalka
agar KHak ka meri saghar banaya
KHayal-e-dahan ne kiya tang mujh ko
kamar ke tasawwur ne laghar banaya
ghule soz-e-furqat mein us shama-ru ke
ye haal apna kyun 'rind' jal kar banaya
Ghazal
Adu ghair ne tujhko dilbar banaya
Rind Lakhnavi