adu-e-bad-guman ki dastan kuchh aur kahti hai
magar teri nigah-e-KHush-bayan kuchh aur kahti hai
KHizan ke dam se apni KHush-dili ka hai bharam warna
bahaar aate hi yaad-e-ashiyan kuchh aur kahti hai
suno dil se to phir har naghma-e-ishrat ke parde mein
alam ki dastan-e-KHun-chakan kuchh aur kahti hai
nazar un ki zaban un ki tajjub hai ki is par bhi
nazar kuchh aur kahti hai zaban kuchh aur kahti hai
hazar andaz se ahl-e-hawas ab dam phailaen
nawa-e-tair-e-arsh aashiyan kuchh aur kahti hai
tere lutf-o-karam ka mo'tarif hai ek jahan lekin
kisi majbur-e-gham ki dastan kuchh aur kahti hai
KHusha teri nazar ka imtiyaz-e-jalwat-o-KHalwat
wahan kuchh aur kahti thi yahan kuchh aur kahti hai
gulistan mein bahaar-e-gul-fashan aane se kya hasil
ki mustaqbil ki taswir-e-KHizan kuchh aur kahti hai
wo mere haal par 'sahir' kabhi jo muskuraate hain
to dil se apni sai-e-raegan kuchh aur kahti hai
Ghazal
Adu-e-bad-guman ki dastan kuchh aur kahi hai
Sahir Hoshiyarpuri