adl ko bhi mizan mein rakhna paDta hai
har ehsan ehsan mein rakhna paDta hai
yun hi gyan ki daulat hath nahin aati
be-dhyani ko dhyan mein rakhna paDta hai
jab bhi safar par jaane lago to yaad rahe
KHud ko bhi saman mein rakhna paDta hai
apne hone aur na hone ka imkan
honi ke imkan mein rakhna paDta hai
is nile aakash ko chhu lene ke liye
KHud ko unchi uDan mein rakhna paDta hai
yun hi jang kabhi jiti nahin ja sakti
qadam apna maidan mein rakhna paDta hai
thoDi der tilawat kar chikne ke baad
mor ka par quran mein rakhna paDta hai
kabhi kabhi to nafa ke lalach mein 'sahir'!
KHud ko kisi nuqsan mein rakhna paDta hai

Ghazal
Adl ko bhi mizan mein rakhna paDta hai
Parvez Sahir