adhuri qurbaton ke KHwab aankhon ko dikha jaana
hazaron duriyon par ye tera kuchh pas aa jaana
udasi ke dhundlakon ka dimagh-o-dil pe chha jaana
nazar ke samne ek gum-shuda manzar ka aa jaana
suni hai main ne akasr band darwazon ki sargoshi
sadaen chahti hain sab khuli saDkon pe aa jaana
teri yaaden ki is tufan-e-zulmat mein bhi raushan hain
hua mushkil hawa ko in charaghon ka bujha jaana
KHala mein Dubti si aahaTen thin kuchh jinhen hum ne
safar mein sath rakkha manzilon ka aasra jaana
main tere sath hun to us ki KHushbu ke taaqub mein
jahan tak ja sake ai sar-phiri mauj-e-hawa jaana
nazar us ki bhi ai 'maKHmur' dhoka kha gai aaKHir
wahi tha aashna chehra jise na-ashna jaana
Ghazal
Adhuri qurbaton ke KHwab aankhon ko dikha jaana
Makhmoor Saeedi