adab mein muddai-e-fan to be-shumar mile
magar na 'mir' ke 'ghaalib' ke wirsa-dar mile
junun-e-ishq ko daman to tar tar mila
maza to jab hai gareban bhi tar tar mile
baDe maze se guzari hai zindagi main ne
KHuda ke fazl se haalat sazgar mile
kisi ke dil pe bhala iKHtiyar kya hoga
bahut hai apne hi dil par jo iKHtiyar mile
ye kya sitam hai ki aada to paen hur-o-qusur
jo un ke chahne wale hain un ko dar mile
mere mizaj ko baKHsha hai inkisar agar
ba-qadr-e-zarf tabiat ko inkisar mile
har ek amal pe mukallaf bana ke farmaya
kahin se dekhna daman na dagh-dar mile
mera mazaq hai ikram-e-dostan 'wasfi'
wo dil hi pas nahin jis mein kuchh ghubar mile
Ghazal
Adab mein muddai-e-fan to be-shumar mile
Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi