adakari mein bhi sau karb ke pahlu nikal aae
ki fankarana rote the magar aansu nikal aae
hamein apni hi jaanib ab safar aaghaz karna hai
so misl-e-nikhat-e-gul ho ke be-qabu nikal aae
yahi be-nam paikar husn ban jaenge farda ka
suKHan mahke agar kuchh ishq ki KHushbu nikal aae
isi ummid par hum qatl hote aae hain ab tak
ki kab qatil ke parde mein koi dil-ju nikal aae
samajhte the ki mahjuri ki zulmat hi muqaddar hai
magar phir us ki yaadon ke bahut jugnu nikal aae
dilon ko jit lena is qadar aasan hi kab tha
magar ab shobade hain aur bahut jadu nikal aae
safar ki intiha tak ek taza aas baqi hai
ki main ye moD kaTun us taraf se tu nikal aae
Ghazal
Adakari mein bhi sau karb ke pahlu nikal aae
Pirzada Qasim