ada zaban se harf-e-nahin ziyaada hua
isi pe qatl mera sara KHanwada hua
talab ne zin sajai kiran ke ghoDe par
kabhi jo sair-e-mah-o-mahr ka irada hua
hamin ne jast bhari waqt ke samundar mein
hamin se daman-e-arz-o-sama kushada hua
adu ne luT li maqtal mein jab meri poshak
to mera KHun mere jism ka libaada hua
adab ka zina mila zist ka qarina mila
kahan kahan na tere gham se istifada hua
faras ko dur kiya sar se taj utar diya
tumhaare shahr mein pahuncha to main piyaada hua
mein dam-ba-KHud hun mere sar pe saeban-e-falak
baghair chob ke kyun-kar hai istada hua
Ghazal
Ada zaban se harf-e-nahin ziyaada hua
Jawaz Jafri