اردو हिंदी
Ada-shanas tera be-zaban nahin hota | Shaahi Shayari
ada-shanas tera be-zaban nahin hota

Ghazal

Ada-shanas tera be-zaban nahin hota

Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub

;

ada-shanas tera be-zaban nahin hota
kahe wo kis se koi nukta-dan nahin hota

sab ek rang mein hain mai-kade ke KHurd o kalan
yahan tafawut-e-pir-o-jawan nahin hota

qimar-e-ishq mein sab kuchh ganwa diya main ne
umid-e-nafa mein KHauf-e-ziyan nahin hota

sahm raha hun main ai ahl-e-qabr batla do
zamin tale to koi aasman nahin hota

wo mohtasib ho ki waiz wo falsafi ho ki shaiKH
kisi se band tera raaz-dan nahin hota

wo sab ke samne is sadgi se baiThe hain
ki dil churane ka un par guman nahin hota

jo aap chahen ki le len kisi ka muft mein dil
to ye muamla yun mehrban nahin hota

jahan fareb ho 'majzub' ye teri surat
buton ke ishq ka tujh par guman nahin hota