ada se aaD mein KHanjar ke munh chhupae hue
meri qaza ko wo lae dulhan banae hue
ilahi kyun nahin hoti koi bala nazil
asar hai der se dast-e-dua uThae hue
teri lagai hui aag hashr tak na bujhi
hue na mar ke bhi ThanDe tere jalae hue
bala-e-jaan hai magar phir bhi aarzu hai teri
hum us ko apne kaleje se hain lagae hue
sahar hui ki wo yaadash-ba-KHair aata hai
charagh hain meri turbat ke jhilmilae hue
tumhin kaho ki tumhein apna samajh ke kya paya
magar yahi ki jo apne the sab parae hue
kisi ka hae wo maqtal mein is tarah aana
nazar bachae hue aastin chaDhae hue
ajal ko muzhda-e-fursat ki aaj 'fani'-e-zar
umid-e-wasl se baiTha hai lau lagae hue
Ghazal
Ada se aaD mein KHanjar ke munh chhupae hue
Fani Badayuni