ada pariyon ki surat hur ki aankhen ghazalon ki
gharaz mange ki har ek chiz hai in husn walon ki
bajae-raqs mai-KHane mein hai gardish pyalon ki
takalluf-bar-taraf ye bazm hai allah walon ki
nishan jab miT gaya turbat ka aae fatiha paDhne
unhen kab yaad aai hain wafaen marne walon ki
hua do gaz kafan munim ko hasil mal-e-duniya se
bandhi rakkhi hi aaKHir rah gai gaThri doshaalon ki
dukha kar dil mera phir aap hi uzr-e-jafa karna
are kafir teri ek chaal hai ye lakh chaalon ki
abhi tum ko bahut kuchh naz hai tirchhi nigahon par
magar dekhi nahin tasir tum ne mere nalon ki
tere hote hue ye baat ghairat ki hai o zalim
uDae aasman yun KHak teri paemalon ki
bhale hain ya bure jo kuchh hain bande to KHuda ke hain
nadamat is qadar waiz na kar mai-KHane walon ki
hui bauchhaar mujh par shikwa-e-beja ki phir kya kya
jahan chheDa unhen bas khul gai gaThri malalon ki
gunahgar-e-mohabbat hain jidhar guzrenge mahshar mein
hamare sath sath ek bhiD hogi KHush-jamalon ki
farishton se 'hafiz' ek din lahad mein guftugu hogi
abhi se fikr lazim hai tumhein un ke sawalon ki
Ghazal
Ada pariyon ki surat hur ki aankhen ghazalon ki
Hafeez Jaunpuri